Paakar Khona
This is a poetry I wrote on National Science Day, 28th Feb 2019. These were the days when I was preparing for JEE. This describes that despite not wanting to become a part of competition, I did become a part of it!
Ek rah maine chuni thi
Us rah par mai chali bhi
Kahi gir gayi, kahi bhatak gayi, kahi sangharsh ki
Na jaane kaise, na chahte hue bhi mai usmein ghool gayi
Ab filmo dekhte, gaano sunte, youtube par
Khudko zyaada paati hoon
Kabhi jisse door ka rishta rakha karti thi
Na jaane kaise aaj unhe apne qareeb paati hoon
Khudko padhaana, khudse seekhna
Der baad, bhool gayi apne aap se milna
Favourite uncles bhi sirf kabhi kabhi yaad aate
Na jaane kaise mai bhool gayi unki baatein
Zigyaasa dil mein, dil se karne waali cheezo mein
Aaj bhi vahi lau jal rahi hai
Sawaal hi sawaal, jawaab nhi hai ab
Na jaane zindagi jeene ki paribhasha badal gayi kab
Khudko, kayi baar paaya bhi aur khoya bhi
Dhoonda bhi, thopa bhi aur samjhaya bhi
Par kyu mai samajh nhi paa rahi
Na jaane kyu, kaha, kaise ho gayi hoon mai aise!